KHatm kar dete hain lije aaj afsane ko hum

khatm kar dete hain lije aaj afsane ko hum
shama ke pahlu mein dafnate hain parwane ko hum

ye nahin hai dekh kar aae hain dozakh ya bahisht
bandagi karte hain apne dil ke bahlane ko hum

pattharon mein jaan dalenge saron ko phod kar
azm ye kar ke chale hain aaj but-khane ko hum

shab hui to us shajar hi ko alaw kar liya
sae mein baithe the jis ke din mein sustane ko hum

bahs ke dauran khud hum muttafiq us se hue
zoam mein apne gae the us ke samjhane ko hum

dhul udti chhod kar chal dega aage karwan
aur rah jaenge 'asim' thokaren khane ko hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close