har ek shab yunhi dekhengi su-e-dar aankhen tujhe ganwa ke na soengi umr-bhar aankhen tulu-e-subh se pahle hi bujh na jaen kahin ye dasht-e-shab mein sitaron ki ham-safar aankhen sitam ye kam to nahin dil giraftagi ke liye main shahr bhar mein akela idhar-udhar aankhen shumar us ki sakhawat ka kya karen ki wo shakhs charagh bantta phirta hai chhin kar aankhen main zakhm zakhm hua jab to mujh pe bhed khula ki pattharon ko samajhti rahin guhar aankhen main apne ashk sanbhaalunga kab talak 'mohsin' zamana sang-ba-kaf hai to shishagar aankhen