har ek shai ki haqiqat se ba-khabar dekhun main apni khak mein pinhan tujhe bhi gar dekhun ye kya ki hat badhaun to sang-reze milen kahin to main bhi damakte hue guhar dekhun ho aankh mein kisi chehre ka dubta manzar main paniyon mein muqayyad kisi ka ghar dekhun tamam umr usi sae ki talash karun ki jis ko dekhna chahun to dar-ba-dar dekhun nazar ke samne jab ho na koi tere siwa main teri samt na dekhun to phir kidhar dekhun hai aarzu yahi 'asif' ki rah-e-zulmat mein use bhi apni tarah main kabhi nidar dekhun