har ek shai se mohabbat ki rishta-dari rakh ab is ko jang samajh aur jang jari rakh na jaane kis ko wo apna samajh ke apna len nazar ko dil ko tamanna ko bari bari rakh agar tumhaari hai tanha to is ko le jao agar hai sajhi ye duniya to sajhedari rakh na samjhen apna magar ghair to na samjhen log ab apne aap mein itni to inkisari rakh yahi se khwab janam lenge phir nae 'nazim' lipat ke nind se aankhon ke panw bhaari rakh