jab raushni na pa sake mehr-o-qamar se hum khud be-niyaz ho gae sham-o-sahar se hum is imtihan mein bhi hai tera karam sharik hans kar guzar rahe hain rah-e-pur-khatar se hum duniya ko hum dikhaenge mear-e-bandagi qismat bana ke utthenge ab tere dar se hum jis ki nawazishon pe hai mauquf zindagi kya hoga gir gae agar us ki nazar se hum zinda hain to banega isi ja phir aashiyan darte nahin hain fitna-e-barq-o-sharar se hum duniya se dur ho ke pata us ka pa gae warna the apne aap se bhi be-khabar se hum allah rakkhe khanda-e-diwangi se dur hain aashna maal-e-gham-e-mo'atabar se hum 'kashfi' bana diya use aaina-e-bahaar guzre kisi ki yaad mein jis rahguzar se hum