har ek shakhs ko dushman agar banaoge mizaj puchhne wala kahan se laoge jo sab ko apne hi mear par parakhte rahe to zindagi mein kise ham-safar banaoge yahan to har koi chehre pe chehre rakhta hai utha ke pahlu se kis ko kise bithaoge tumhein usul tumhaare hi mar dalenge na apne aap ko in se agar bachaoge charagh jalne lagenge tumhaari rahon mein jo dusron ke gharon mein diye jalaoge ye ahd tum se agar ho sake to kar lena hamare baad kisi ka na dil dikhaoge nahin jhukoge agar ek khuda ke aage tum na jaane kitne daron par ye sar jhukaoge wo tum se ruth gai jo makan ki raunaq thi gharib-khane ko ab kis liye sajaoge supurd-e-khak to kar aae man ko tum 'athar' ghamon ki dhup mein saya kahan se paoge ye be-hison ki hai basti to phir 'shakil' yahan sadaqaton ka kise aaina dikhaoge