jahan ko chhod diya tha jahan ne yaad kiya bichhad gae to bahut karwan ne yaad kiya mila nahin use shayad koi sitam ke liye zah-e-nasib mujhe aasman ne yaad kiya wo ek dal jo kadi dhup mein jhulasta tha use bhi saya-e-zulf-e-butan ne yaad kiya panah mil na saki un ko tere daman mein wo ashk jin ko mah-o-kahkashan ne yaad kiya khayal hum ko bhi kuchh aashiyan ka tha lekin qafas mein hum ko bahut aashiyan ne yaad kiya hamare baad bahae kisi ne kab aansu hum ahl-e-dard ko abr-e-rawan ne yaad kiya gham-e-zamana se fursat nahin magar phir bhi 'majid' chal tujhe pir-e-mughan ne yaad kiya