har ek shikast ko ai kash is tarah main sahun fuzun ho aur bhi dil mein teri talab ka fusun tumhaare jism ki jannat to mil gai hai magar main apni ruh ki dozakh ka kya ilaj karun hansa hun aaj to majbur tha ki tere huzur mujhe ye dar tha agar chup raha to ro na padun tamam umr na bhatke kahin tu meri tarah hun kashmakash mein jo kahna hai wo kahun na kahun na ab pukar mujhe muddaton ki duri se tere qarib nahin hun ki teri baat sunun teri talash ko niklunga is se pahle magar main teri yaad ke sahra mein khud ko dhund to lun wo dekh le to na roe bina rahe 'azad' main sochta hun ki ek bar khud pe yun bhi hansun