chadhte dariya se bhi gar par utar jaoge panw rakhte hi kinare pe bikhar jaoge waqt har mod pe diwar khadi kar dega waqt ki qaid se ghabra ke jidhar jaoge khana-barbaad samajh kar hamein dhalti hui raat tanz se puchhti hai kaun se ghar jaoge sach kaho sham ki aawara hawa ke jhonko us ki khushbu ke taaqub mein kidhar jaoge aage badh jaenge phir donon hi chup chup yun to main pukarunga tumhein tum bhi thahar jaoge zabt-e-ehsas ke zindan se kahin bhag chalo aur kuchh der yahan thahre to mar jaoge naqsh-e-imroz se aage na nigahen daudao kal ki taswir jo dekhoge to dar jaoge main bhi saya hun siyah raat mein kho jaunga tum bhi ek khwab ho pal-bhar mein bikhar jaoge raste shahr ke sab band hue hain tum par ghar se nikaloge to 'makhmur' kidhar jaoge