har ek uThan ke lakhon hain imtihan miyan

har ek uthan ke lakhon hain imtihan miyan
pukarta hai parindon ko aasman miyan

nikalna padta hai aakhir ko apne andar se
wahan bhi milti nahin mustaqil aman miyan

hai karkhana tawahhum ka ye ba-qaul-e-'mir'
so jaante hain yaqin ko bhi hum guman miyan

tha is se pahle bhi koi makin-e-dil apna
aur is ke baad bhi khali nahin makan miyan

ye aur baat ki jismon ke bhi taqaze the
hum us ki jaan the aur wo hamari jaan miyan

hain go ki hum bhi tere khair-khwah par 'shakir'
ye kab kaha ki hamari hi baat man miyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close