aur hi kahin thahre aur hi kahin pahunche jis jagah pahunchna tha hum wahan nahin pahunche hijr ki masafat mein sath tu raha har dam dur ho gae tujh se jab tere qarin pahunche taer-e-talab ki hai har udan us dar tak na-murad dil ka har rasta wahin pahunche rukh kare idhar ka hi har azab duniya ka aasman se jo utre wo bala yahin pahunche har dil o nazar mein ho ek nikhaar sa paida bad-guman zehnon tak nemat-e-yaqin pahunche