har ek ye kahta hai ab kar-e-din to kuchh bhi nahin ye sach bhi hai ki maza be-yaqin to kuchh bhi nahin tamam umr yahan khak uda ke dekh liya ab aasaman ko dekhun zamin to kuchh bhi nahin meri nazar mein to bas hai unhin se raunaq-e-bazm wahi nahin hain jo ai ham-nashin to kuchh bhi nahin haram mein mujh ko nazar aae sirf zahid-e-khushk makan khub hai lekin makin to kuchh bhi nahin tere labon se hai albatta ek halawat-e-zist nabaat-e-qand-e-shakar angbin to kuchh bhi nahin dimagh ab to mison ka hai charkh-e-chaarum par badha diya meri khwahish ne thin to kuchh bhi nahin ba-qaul-e-hazrat-e-'mahshar' kalam shaer ka pasand aae to sab kuchh nahin to kuchh bhi nahin wo kahte hain ki tumhin ho jo kuchh ho ai 'akbar' hum apne dil mein hain kahte hamin to kuchh bhi nahin