dhup nikli din suhane ho gae chand ke sab rang phike ho gae kya tamasha hai ki be-ayyam-e-gul tahniyon ke hath pile ho gae is qadar roya hun teri yaad mein aaine aankhon ke dhundle ho gae hum bhala chup rahne wale the kahin han magar haalat aise ho gae ab to khush ho jaen arbab-e-hawas jaise wo the hum bhi waise ho gae husn ab hangama-ara ho to ho ishq ke dawe to jhute ho gae ai sukut-e-sham-e-gham ye kya hua kya wo sab bimar achchhe ho gae dil ko tere gham ne phir aawaz di kab ke bichhde phir ikatthe ho gae aao 'nasir' hum bhi apne ghar chalen band is ghar ke dariche ho gae