har ek zakhm ki shiddat ko kam kiya jata namak se kaam na marham ka gar liya jata dilon ka bojh dilon se utarne ke liye ye lazmi tha gareban ko siya jata zamana panw ki thokar mein aa bhi sakta tha saron ko apne utha kar agar jiya jata kami na aati tere ehtiram mein shaha kisi gharib ka haq jo use diya jata hamari maut bhi hoti baqa hamari 'nabil' ki pyala zahr ka hathon se gar piya jata