zamane ki fasilon ko gira kar kabhi dekhenge khud ko aazma kar mere dil par bhi nazil ho sakinat mere murshid mere haq mein dua kar tumhaari rah ko raushan kiya hai charagh-e-jaan ko main ne jala kar kisi din hum tumhaari khak-dan ko chale jaenge ek thokar laga kar tumhaara rasta hamwar kar dun main apni zat ka patthar hata kar falak ke par mujh ko dekhna hai sitaron se bhari chadar hata kar akele baith ke rote rahe hum tumhaari yaad mein duniya bhula kar khuli aankhon mein sapne dekhti hun khud apni nind ka panchhi uda kar