har ek zist ka lamha bhale nihaal na ho

har ek zist ka lamha bhale nihaal na ho
koi to dur ho aisa ki jo muhaal na ho

dua ye kar na koi zindagi mein aisa mile
jo ham-safar to rahe aur ham-khayal na ho

le itna rakht-e-safar ki safar bhi kat jae
aur is ka bojh tere waste wabaal na ho

safar mein itni hi raftar rakh ki aakhir-kar
pahunch ke tu sar-e-manzil kahin nidhaal na ho

amal wo kar ki nadamat na jis pe ho tujh ko
wo baat kah ki tujhe ba'd mein malal na ho

khuda maqam agar de to bas wo itna hi
ki jis ke ba'd muqaddar mein phir zawal na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close