hindson ke badalne se taqdir na badlegi

hindson ke badalne se taqdir na badlegi
chehra jo na badla to taswir na badlegi

jab honi atal ho to phir ho ke hi rahti hai
jo lauh pe likkhi hai tahrir na badlegi

badloge khayalon ko to khwab bhi badlenge
jab khwab na badle to tabir na badlegi

lahja bhi zara apna thoda sa badal dekhen
lafzon ke badalne se tasir na badlegi

is zehni ghulami se chahoge to nikaloge
ghilman na badle to zanjir na badlegi

tum aap agar apni izzat na karoge to
nazron mein zamane ki tauqir na badlegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close