har gam badalte rahe manzar mere aage chalta hi raha koi barabar mere aage kya khak meri khak mein imkan ho paida napaid hain maujud-o-mayassar mere aage yun dekhne walon ko nazar aata hun pichhe rahta hai masafat mein mera ghar mere aage rakhti hai ajab pas meri tishna-labi ka so mauj uthati hi nahin sar mere aage hansta hi raha main dar-o-diwar pe apne rota hi raha mera muqaddar mere aage kal raat jagati rahi ek khwab ki duri aur nind bichhati rahi bistar mere aage waqif hi nahin koi in aankhon ki rawish se kam kam jo khula karti hain aksar mere aage dekhe hi nahin main ne kabhi aankh mein aansu pahna hi nahin us ne ye zewar mere aage 'ghaer' main kai roz se khamosh hun aisa goya nazar aate hain ye patthar mere aage