kasrat-e-wahdaniyat mein husn ki tanwir dekh dida-e-haq-bin se rang-e-alam-e-taswir dekh is qadar khinchna nahin achchha but-e-be-pir dekh pyar ki nazron se su-e-ashiq-e-dil-gir dekh ghair ne mujh par sitam dhae hain dhaale aaj tu rah na jae koi bhi tarkash mein baqi tir dekh kaam ban ban kar bigad jate hain lakhon raat din kis qadar hai mujh se bargashta meri taqdir dekh phir na ye kahna ki khat likkha hai kis ne ghair ko le ye hai maujud tere hath ki tahrir dekh haarna himmat dalil-e-kaamyabi se hai dur kaam le tadbir se phir khubi-e-taqdir dekh gumbad-e-gardun sambhal ai gumbad-e-gardun sambhal kar na de sad pash tir-e-ah par tasir dekh chaar din ki zindagi par musht-e-khak itna ghurur pis dega ek din ye aasman-e-pir dekh be-bulae to nahin aaya teri mahfil mein 'naz' dekh han han dekh apne hath ki tahrir dekh