har gam hadsa hai thahar jaiye janab rasta agar ho yaad to ghar jaiye janab zinda haqiqaton ke talatum hain samne khwabon ki kashtiyon se utar jaiye janab inkar ki salib hun sachchaiyon ka zahr mujh se mile baghair guzar jaiye janab din ka safar to kat gaya suraj ke sath sath ab shab ki anjuman mein bikhar jaiye janab koi chura ke le gaya sadiyon ka e'tiqad mimbar ki sidhiyon se utar jaiye janab