wo aa gae hain bughz ka jazba liye hue hum se musalahat ka irada liye hue hai samne faqir ke shahon ka aisa haal sarwat khadi hai hath mein kasa liye hue hum dhundte hain rahbar-e-kaamil ko hind mein husn-e-amal ka qalb mein jazba liye hue hain khushk-saliyan kahin jaanon mein ek wabaal barish kahin hai qahr ka naqsha liye hue maqbuliyat ho aisi ki tum kuch jab karo har shakhs aae hath mein tamgha liye hue hota gaya tabaadala 'aini' nagar nagar har ja main pahuncha pyar ka tohfa liye hue