har-gam tajrabaat ke pahlu badal gae

har-gam tajrabaat ke pahlu badal gae
logon ko aazma ke hum aage nikal gae

hum ko to ek lamha khushi ka na mil saka
kya log the jo zist ke sanche mein dhal gae

kya kya taghayyuraat ne duniya dikhai hai
mahsus ye hua ki bas ab ke sambhal gae

hum zindagi ki jehd-e-musalsal ke waste
maujon ki tarah sina-e-tufan mein dhal gae

jab bhi koi fareb diya ahl-e-dahr ne
hum ek nazar-shanas koi chaal chal gae

hawi hue fasane haqiqat pe is tarah
tarikh zindagi ke hawale badal gae

hum ne lachak na khai zamane ki zarb se
go hadsat-e-dahr ki rau mein kuchal gae

'nuri' kabhi jo yas ne toka hamein kahin
hum daman-e-hayat pakad kar machal gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close