kisi dil mein mere liye pyar kyun ho ye isar hai aur isar kyun ho tabahi ho jab aarzu ka muqaddar to dil is tabahi se hushiyar kyun ho ye khuddar hona hi laya kharabi mohabbat mein insan khuddar kyun ho koi apne hi gham se khali kahan hai jahan mein koi mera gham-khwar kyun ho na pahla sa milna na aana na jaana ab itne bhi tum mujh se bezar kyun ho isi kashmakash ne duboya jahan ko unhen jit kyun ho mujhe haar kyun ho jafa par nahin jab wo dil hi mein nadim nazar se nadamat ka izhaar kyun ho agar bakhsh dene pe tayyar ho tum mujhe jurm se apne inkar kyun ho