har ghadi dard ki shiddat se bilakti aankhen aatish-e-hijr se har lamha pighalti aankhen ek lamhe ki mulaqat hui umr ka rog us ki surat ko hain har waqt tarasti aankhen dil-e-betab mein ab tak wo machalti khwahish teri khushbu se musalsal ye mahakti aankhen khwab mein thahra hua jhil ka nila manzar aur usi jhil kinare hain bhatakti aankhen ab to wahshat si tapakti hai har ek manzar se soz-e-hijran ki tapish se hain sulagti aankhen ishq nilam hua aam ya nakaam hua rah gain ahl-e-wafa ki to barasti aankhen samne pa ke use dusri jaanib takna ye haqiqat mein hain 'shahin' sambhalti aankhen