har ghadi fikr-e-rasti kya hai ek musibat hai zindagi kya hai ghup andhera hai mere chaaron-or is mein thodi si raushni kya hai bahut uljha hua hisab hai ye mera khata hai kya bahi kya hai nam hain nafs ki parastish ke dosti kya hai dushmani kya hai shahr mein rah ke dekhiye ek din dur jangal mein rahebi kya hai sari baaton ka main musannif hun mere aage likhi suni kya hai main ne dekha hai khun ki shamon se gum-rahi kya hai rah-rawi kya hai ahd-e-piri mein apni lauh-e-zamir saf ho gar to khusrawi kya hai ye tazadat ye sarab ye dil zindagi kya hai aadmi kya hai band ashkal mein muqayyad hun aql kis kaam aagahi kya hai sochta hun to kuchh nahin khulta jaanta hun magar badi kya hai dil mein waswas ya-ali kyun hai sar-e-mahjub ya-nabi kya hai