har ghadi har lamha uthte pattharon ke sath main tute tute kitne shishon ke gharon ke sath main aandhiyon ke dosh par shamen jalata roz o shab qahr mein biphri hawa ke lashkaron ke sath main sabza-zaron ki tamanna mujh mein sargarm-e-safar safar chilchilati dhup ke nama-baron ke sath main rafta rafta sham ke na-mehrban sailab mein dubta sa ujle ujle se paron ke sath main main bhatakti ummaton ka ek dard-e-mushtarak har zamane mein raha paighambaron ke sath main daera-dar-daera chaaron taraf bikhra hua ek samundar mein sada ke kankaron ke sath main tu na jaane kin andheron mein chhupi baithi hui rasta chunta hua kitne daron ke sath main