yaadon mein rang bhar raha hun zakhmon ko gulab kar raha hun har sans ek an-suni si aahat main jaane kis pe mar raha hun duniyaen wajud pa rahi hain reza reza bikhar raha hun ek lamha-e-gum-shuda ki khatir sadiyon ka hisab kar raha hun maqsud-e-safar hai kuchh to aisa shoalon se jo guzar raha hun hai ek junun-e-khud-shanasi akasr apne hi sar raha hun tufan guzar chuka hai kab ka ab dariya sa utar raha hun rishte mazbut ho rahe hain peshaniyon par ubhar raha hun tha fakhr bahut falak-rasi par khud apne par ab katar raha hun