har ghadi har waqt hi bazar mein rahna pada bechna tha khud ko so akhbar mein rahna pada ek hi tahrir ko pani pe likkha bar bar rahna tha bas is liye sansar mein rahna pada khwahishen to thin ki hum buniyaad ka patthar banen hae kaisa jurm tha diwar mein rahna pada phir kisi se dosti us ne na mere baad ki umr bhar mujh ko bhi phir aghyar mein rahna pada wo jo tha khushbu ki manind udna jis ka shauq tha bebasi dekho use ashaar mein rahna pada hum tasawwur kar na pae 'wahid' us taswir ka raat bhar hum ko khayal-e-yar mein rahna pada