kisi bhi rahnumai ka koi dawa nahin karte ghazal ke pairahan ko hum magar maila nahin karte hamari chahaton ne to bade iqrar dekhe hain kisi inkar par hum dil kabhi chhota nahin karte sarabon ki haqiqat se bahut achchhe se waqif hain kabhi bhi khwab ka hum din mein to pichha nahin karte yahan har shai ki qimat bas mohabbat hi mohabbat hai faqiron se kabhi jazbaat ka sauda nahin karte musalsal hadson ne ye bhi shafqat chhin li hum se koi jab chhod jata hai to hum socha nahin karte kabhi phir hijraton ka un ke man se dar na niklega parinde so rahe hon jab shajar kata nahin karte saje bazar mein bik jaen ye lalach to hai 'wahid' magar inam ki khatir sukhan halka nahin karte