har gham gham-e-taza hai ye shadab hai sina aisa bhi to is daur mein nayab hai sina hangam-e-khamidan bhi ye sar kham nahin hota yun kahne ko ganjina-e-adab hai sina jaise ki na aai hai na aaegi koi aur har subh ko is taur se betab hai sina baatin pe nazar kije to ek bahr hai zakhkhar zahir pe nazar kije to payab hai sina kab dasht-o-jabal koh-o-daman rah mein aaen ho soz jo sine mein to sailab hai sina zahir mein to jo kuchh hai wo asbab-e-jahan hai baatin mein yahi chashma-e-asbab hai sina aankhen to barasti hain barasti hi rahengi kyun dub na jaen ki tah-e-ab hai sina jis bab mein aasar-e-ghazalan-e-ajam hain tauret ka quran ka wo bab hai sina har-dam mere honton se chhalakti hai gulabi betab si ek mauj-e-mai-e-nab hai sina basti mein ajab daulat-e-bedar hain aankhen virane mein ek daulat-e-nayab hai sina bedari mein soya hua qatre mein talatum aur khwab mein jaga hua sailab hai sina hai ranj ka aalam bhi koi aish ka aalam har-lahza ajab aalam-e-sad-khwab hai sina aalam hai agar raaz to ye shisha-e-jam hai aalam hai agar saz to mizrab hai sina allah ghani kahiye ki allah ghani hai wo tab ata ki hai jahan-tab hai sina