hawa-e-garmi-e-sud-o-ziyan se ruth gae zara si baat pe sare-jahan ruth gae wo ishq-e-gul tha ki gulchin ke hum adu thahre ye rashk-e-gul hai ki hum baghban se ruth gae jo be-dimagh teri rahguzar mein aa baithe makan to chiz hai kya la-makan se ruth gae jo tez-gam tha us ko sikhai rasm-e-suluk jo sust-e-gam tha is karwan se ruth gae haram se guzre to shaikh-e-haram se lad baithe mughan mein pahunche to pir-e-mughan se ruth gae wo sada-dil hain ki ghairon ko raazdan jaana wo bad-guman hain har raaz-dan se ruth gae ye dekh kar ki gham-e-do-jahan hai rasm-e-jahan jo ahl-e-gham the gham-e-do-jahan se ruth gae kahan hain ahl-e-bahaar aur kahan hai dawat-e-gul ki be-nasib gul-o-gulsitan se ruth gae kahan hai pir-e-mughan aur kahan hai muzda-e-hosh ki tishna-lab rah-o-rasm-e-mughan se ruth gae ye ehtiyat ne saqi ki dil ka haal kiya ki rind garmi-e-bazm-e-jahan se ruth gae