har ghar mein koi tah-khana hota hai tah-khane mein ek afsana hota hai kisi purani almari ke khanon mein yaadon ka anmol khazana hota hai raat gae aksar dil ke viranon mein ek sae ka aana jaana hota hai badhti jati hai bechaini nakhun ki jaise jaise zakhm purana hota hai dil rota hai chehra hansta rahta hai kaisa kaisa farz nibhana hota hai zinda rahne ki khatir in aankhon mein koi na koi khwab sajaana hota hai tanhai ka zahr to wo bhi pite hain jin logon ke sath zamana hota hai sahra se basti mein aa kar bhed khula dil ke andar hi virana hota hai sarmasti mein yaad nahin rakhta koi bazm se uth kar wapas jaana hota hai