khayal-e-marg badi shai hai zindagi ke liye andhera jaise zaruri hai raushni ke liye sukun ki bhik na mangenge chashm-e-lutf se hum gada banenge na do din ki zindagi ke liye junun ne raaz-e-haqiqat to pa liya lekin khuda ko kho diya zauq-e-khud-agahi ke liye baja ki rah-numa rahzan nahin lekin musafir ab bhi taraste hain rah-rawi ke liye jo teri chashm-e-tawajjoh pe ho gaya qurban wo gham bhi kitna zaruri tha zindagi ke liye ye dil ghamon se hai mamur ai khayal-e-nashat kahan se aaengi gunjaishen khushi ke liye sahenge gham ke liye jabr-e-zindagi lekin nazar na gham se bachaenge zindagi ke liye khulus-e-dil ke tajassus mein khoe hum 'mukhtar' nazar padi bhi to dushman pe dosti ke liye