har gosha-e-alam mein zamane ki sada hun main waqt pe chalta hua naqsh-e-kaf-e-pa hun ai dasht-e-takhayyul teri khamosh nawa hun main naqsh-e-haqiqat hun magar khwab-numa hun ek aalam-e-duniya hai meri zat ke andar main aag bhi mitti bhi hun pani hun hawa hun do lakht hua hun main teri jalwagari se aisi hai chakachaund ki sae se juda hun din bhar ki 'atash' dhup ko daman mein samete main sham ke suraj ki tarah dub raha hun