har haal mein raha jo tera aasra mujhe mayus kar saka na hujum-e-bala mujhe har naghme ne unhin ki talab ka diya payam har saz ne unhin ki sunai sada mujhe har baat mein unhin ki khushi ka raha khayal har kaam se gharaz hai unhin ki raza mujhe rahta hun gharq un ke tasawwur mein roz o shab masti ka pad gaya hai kuchh aisa maza mujhe rakhiye na mujh pe tark-e-mohabbat ki tohmaten jis ka khayal tak bhi nahin hai rawa mujhe kafi hai un ke pa-e-hina-basta ka khayal hath aai khub soz-e-jigar ki dawa mujhe kya kahte ho ki aur laga lo kisi se dil tum sa nazar bhi aae koi dusra mujhe begana-e-adab kiye deti hai kya karun us mahw-e-naz ki nigah-e-ashna mujhe us be-nishan ke milne ki 'hasrat' hui ummid aab-e-baqa se badh ke hai zahr-e-fana mujhe