hum ne kis din tere kuche mein guzara na kiya tu ne ai shokh magar kaam hamara na kiya ek hi bar huin wajh-e-giraftari-e-dil iltifat un ki nigahon ne dobara na kiya mahfil-e-yar ki rah jaegi aadhi raunaq naz ko us ne agar anjuman-ara na kiya tan-e-ahbab sune sarzanish-e-khalq sahi hum ne kya kya teri khatir se gawara na kiya jab diya tum ne raqibon ko diya jam-e-sharab bhul kar bhi meri jaanib ko ishaara na kiya ru-ba-ru chashm-e-tasawwur ke wo har waqt rahe na sahi aankh ne gar un ka nazara na kiya gar yahi hai sitam-e-yar to hum ne 'hasrat' na kiya kuchh bhi jo duniya se kinara na kiya