har har waraq pe kyun ki likhun dastan-e-hijr aata nahin zaban-e-qalam par bayan-e-hijr zahir agarche taza-o-tar misl-e-lala hun mujh dil mein jaanashin hai dagh-e-nihan-e-hijr pazhmurda kyun na hoe gul-e-ummid-e-ashiqan bahti hai dil ke bagh mein baad-e-khizan-e-hijr aab-e-hayat wasl sin de umr-e-jawedan hai be-qarar gham sin tere nim-jaan-e-hijr wo aashiqi ki misl mein manzur hai mudam chille main gham ke baith jo khincha kaman-e-hijr nin sair-e-lala-zar ki aashiq kun aarzu az-bas hai dagh-e-sina gul-e-bostan-e-hijr jari ba-rah-e-chashm sati khun-e-dil 'siraj' jab sin mere jigar mein lagi hai sinan-e-hijr