yun to sau tarah ki mushkil sukhani aae hamein par wo ek baat jo kuhni na abhi aae hamein kaise toden use jo tut ke milti ho gale lakh chaha ki riwayat-shikani aae hamein har qadam is mutabaadil se bhari duniya mein ras aae to bas ek teri kami aae hamein pyas bujh jae zamin sabz ho manzar dhul jae kaam kya kya na in aankhon ki teri aae hamein dew-e-alfaz ke changul se chhudane ke liye aakhir-e-shab koi mana ki pari aae hamein phir hamein qatl kare shauq se ban pae agar ek ghazal bhar to kisi shab koi ji aae hamein 'saz' ye shahr-nawardi mein bikharta hua din simte ek mod to yaad us ki gali aae hamein