har inqalab ki surKHi unhin ke afsane

har inqalab ki surkhi unhin ke afsane
hayat-e-dahr ka hasil hain chand diwane

khuda-e-har-do-jahan khub hai teri taqsim
zamin pe dair-o-haram aur falak pe maikhane

hamari ja bhi kahin hai khuda-e-dair-o-haram
haram mein ghair hain aur but-kade mein begane

na puchh daur-e-haqiqat ki sakhtiyon ko na puchh
taras gae lab-e-afsana-go ko afsane

ye jabr zist-e-mohabbat pe kab talak aakhir
ki dil salam karen aur nazar na pahchane

alag alag se ufuq par hain chhote chhote ghubar
ye karwan ko mere kya hua khuda jaane

nizam-e-maikada saqi chalega yun kab tak
chhalak rahe hain subu aur tahi hain paimane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close