gulshan hai usi ka nam agar hairan hon bayaban kya hoga hangam-e-bahaaran jab ye hai anjam-e-bahaaran kya hoga ye jang to ladna hi hogi har barg se chahe khun tapke kanton se jo gul dar jaega dara-e-gulsitan kya hoga ulfat ko mitane ke dar pe duniya aur main is soch mein hun ulfat na rahegi jab baqi khwab-e-dil-e-insan kya hoga main dard bhi tum se ji lunga tum mere liye kuchh gham na karo mana ki pareshan dil hoga aisa bhi pareshan kya hoga jis hath mein hai shamshir-o-tabar kya us se umid-e-barg-o-samar jo shakh-e-nasheman todega memar-e-gulistan kya hoga aawaz-e-zamir apni sun kar 'mulla' ne bana li rah-e-amal ye fikr kabhi us ko na hui andaz-e-harifan kya hoga