har int sochti hai ki diwar us se hai har sar yahi samajhta hai dastar us se hai hai aag pet ki tabhi chham-chham hai raqs mein pael samajhti hai ki ye jhankar us se hai ummid un se koi lagana hi hai fuzul har mantari ki soch hai sarkar us se hai ghar ko banaen ghar sada ghar ke hi log sab aur aadmi samajhta hai pariwar us se hai karti hain par kashti duaen hi asl mein manjhi ka sochna hai ki patwar us se hai insan ka ghurur ye kahne laga hai ab sansar se nahin hai wo sansar us se hai kaise banegi baat mohabbat ki ai 'rajat' izhaar ab talak na kiya pyar us se hai