har jagah bandish-e-adab ki parwa na karen mahram-e-raaz se behtar hai ki parda na karen ishq ki kohna riwayat ko ruswa na karen baat to ye hai sar-e-dar bhi lab wa na karen maut bhi samne aa jae to parwa na karen jaan-ba-kaf dil ko misal-e-dil-e-parwana karen dil pe hirs-o-hasd-e-baadiya-paima na karen is se behtar hai ki shaghl-e-mai-o-paimana karen pursish-e-gham se mere gham ko do-baala na karen ye karam aaj se aainda dobara na karen uthne lagta hai tumhein dekh ke mauhum sa dard aaj se aap mere samne aaya na karen dard uthta hai agar chaaragaron ko dhunden dard-e-ulfat hai to phir fikr-e-mudawa na karen waqt ke hath mein hai khote khare ki tasdiq aap achchhe hain to achchhai ka dawa na karen lag na jae rukh-e-gul-rang ko apni hi nazar apni surat kabhi aaine mein dekha na karen chhed deti hai ye aawaz-e-hazin ruh ke tar dam-e-rukhsat lab-e-gulrez ko goya na karen dil-o-iman to nahin han magar ai ahl-e-sitam jaan hazir hai jo manzur ye nazrana karen raaz-e-sar-basta hai dil aur ye behtar hai ki 'raaz' parda hum chehra-e-hasti se uthaya na karen