har kaam yun karo ki hunar bolne lage

har kaam yun karo ki hunar bolne lage
mehnat dikhe sabhi ko asar bolne lage

is bewafa se bolna tauhin thi meri
lekin ye mere zakhm-e-jigar bolne lage

tahzib chup hai ilm-o-adab aaj sharmsar
dekho pita ke munh pe pisar bolne lage

aankhon se main zaban ka aise bhi kaam lun
jo bhi main kahna chahun nazar bolne lage

sab hum ko but-parast samajhte rahe magar
aise tarashe hum ne hajar bolne lage

dair-o-haram ke nam pe jab shahar bat gaya
donon taraf se tegh-o-tabar bolne lage

main ne ghazal sunai 'zafar' ki zamin mein
sab dost mere mujh ko zafar bolne lage

tu hai 'dinesh' aur wo hai chaudhwin ka chand
aapas mein kab se shams-o-qamar bolne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close