har khauf har khatar se guzarna bhi sikhiye jina hai gar aziz to marna bhi sikhiye ye kya ki dub kar hi mile sahil-e-najat sailab-e-khun se par utarna bhi sikhiye aisa na ho ki khwab hi rah jae zindagi jo dil mein thaniye use karna bhi sikhiye bigde bahut kashakash-e-naz-o-niyaz mein ab us ki anjuman mein sanwarna bhi sikhiye hota hai pastiyon ke muqaddar mein bhi uruj ek mauj-e-tah-nashin ka ubharna bhi sikhiye auron ki sard-mehri ka shikwa baja 'sahar' khud apne dil ko pyar se bharna bhi sikhiye