ishq ki sai-e-bad-anjam se dar bhi na sake hum teri chashm-e-inayat se utar bhi na sake tu na milta magar allah re mahrumi-e-shauq jine wale teri ummid mein mar bhi na sake barq se khelne tufan pe hansne wale aise dube tere gham mein ki ubhar bhi na sake husn khud husn-e-mujassam se pashiman uttha aaina le ke wo baithe to sanwar bhi na sake tishna-lab baithe hain mai-khana-e-hasti mein 'sahar' dil wo tuta hua paimana ki bhar bhi na sake