har khushi tere nam ki main ne war di tujh pe zindagi main ne ek piyaade ne mat shah ko di chaal aisi bhi ek chali main ne waqt bhi mukhtasar tha us ke pas baat bhi mukhtasar si ki main ne jo khulus-o-wafa ke paikar hain kam hi dekhe hain aadmi main ne aankh ne jab kabhi baghawat ki teri taswir dekh li main ne kash puchhe kabhi mujhe aa kar chhod di kyun teri gali main ne subh-zau roz puchhti hai mujhe kis tarah shab guzar di main ne mujh ko sarwat ki yaad aai hai rail dekhi hai jab kabhi main ne ab meri lash se sawal karo kis tarah ki hai khud-kushi main ne meri chaukhat pe gham chala aaya saunp di us ko har khushi main ne wasl ko khud pe odh ke 'ansar' hijr ki dastan likhi main ne