dar jo khola hai kabhi us se shanasai ka ek manzar nazar aaya mujhe tanhai ka apni aankhen na sajaana kisi darwaze par chashm-e-hairan ko bharosa nahin binai ka zakhm-arai mein sab zakhm purane the magar zakhm taza hi raha us ki shanasai ka arsa-e-hijr se phir wasl ki sarshaari tak hausla dil ko bahut chahiye paspai ka