har kisi ke hai samajhne ki na samjhane ki baat

har kisi ke hai samajhne ki na samjhane ki baat
ishq kya hai jite ji be-maut mar jaane ki baat

dastan-e-qais ko samjhe the diwane ki baat
ek haqiqat ban gai aakhir ko afsane ki baat

rukh ne ki zulfon ki aur zulfon ne ki shane ki baat
aur ulajhti hi chali jati hai suljhane ki baat

ye to hota hai bade hi hausle walon ka kaam
sahl kab hai aankhon hi aankhon mein pi jaane ki baat

kar lin khud laila-washon ne bastiyan apni tabah
yun hi kah di thi kahin majnun ne virane ki baat

in buton ko dekh kar shan-e-khuda yaad aa gai
yun haram tak ja ke pahunchi hai sanam-khane ki baat

jaane kya zalim ne chupke se ishaara kar diya
raat bhar roti hai sun kar shama parwane ki baat

koi matlab hi ka fiqra hath aa jata tumhein
aql walo ek zara sun lete diwane ki baat

hum to kahte hain ki 'muslim' wazn rakhti hai zarur
qissa-e-dair-o-haram par ek maikhane ki baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close