jab parda-e-majaz haqiqat-numa bana har zarra apni apni jagah aaina bana rifat mein khak-e-dair-o-haram se siwa bana wo aastan jo qibla-e-ahl-e-wafa bana naghma bahaar abr shafaq phul chandni sab jama ho gae to sarapa tera bana sunte hi chaunk chaunk uthe ahl-e-karwan nala ye kis ka tha jo sada-e-dara bana uljha hua hai masala-e-zindagi mein ishq ek dard-e-sar ye ban ke raha aur kya bana dil chal pada tha rah-e-mohabbat mein be-daregh manzil tak us gharib ka kya jaane kya bana kya baat hai ki ishq ko rakhte hain log nam ye ishq hi to hasil-e-har-muddaa bana ai jaur-e-dost teri inayat ka shukriya jo dard tu ne bakhsh diya wo dawa bana tamir kar rahe the khayalon ka hum mahal apna hi ghar bigad liya aur kya bana allah re moajiza dil-e-ashiq ke khun ka hathon tak un ke jate hi rang-e-hina bana wo waswasa jo dil mein utha awwal-e-safar kanta qadam qadam pe wahi rah ka bana wamandgi-e-ashiq-e-mayus al-aman baitha hua hai rah mein ek naqsh-e-pa bana 'muslim' jhukae ja ke kahan gardan-e-niyaz har but ba-zom-e-khwesh hai goya khuda bana