har koi duba hua tha sazishon ki jhil mein zehn ki kashti thi apni hairaton ki jhil mein aasman par udte udte lahr kha kar gir pada aarzu ka ek parinda hadson ki jhil mein ab idhar aati nahin hain khwahishon ki hirniyan yaad ki daldal bahut hai uljhanon ki jhil mein phir uchhaale kis ne aawazon ke kankar arsh par jab mukammal khamushi thi saaton ki jhil mein azmaton ki kuchh sunahri machhliyan paida huin raushni ke ujle ujle tazkaron ki jhil mein yas-o-hasrat ka sahifa hai hamari zindagi hum nahate hain muqaddas aayaton ki jhil mein wadi-e-hasrat mein 'jami' hadisa aisa hua karb ka tufan uttha qahqahon ki jhil mein